Baby knittig cap, free knitting pattern,topi online, newborn baby cap
Is topi, cap ya hat ko banane ke liye 6 fande se shuru karenge. Ye baby beanie ya baby bonnets bahut comfortable hoti hai hai. Is topi ki khas baat ye hai ki isme dono taraf ears(कान) ko dhakne ke liye sunder tarike se banaya hua hai. New born baby cap aap ise thoda chhota size mein bana sakti hai.
Ise 6 fande se shuru karenge.Jali se fande ko badhaenge.5 jali banaenge.jali banane ke liye pahla fanda bun lenge, fande ko aage karenge, ek sidha bunenge, fir se fande ko aage karenge, ek sidha bunenge. Aisa kerte hue sare fande bun lenge.
Ulte se sara ulta hi bunenge.dusri sidhi salai mei ek sidha banane ke baad jali wale fande ko sidha bun lenge fir fanda aage karenge.aisa hi aage bhi bunenge yani jali wale fande ko sidha bun ker fanda aage karenge aur jali banaenge.
Sari ulti salai mein ulta hi bunenge.
Har baar sidhi tataf se jali wale wale fa de ko sidha bunker fanda aage ker sidha bunenge isse fanda badhta jayega.
Is tarah se total 15 jali banaenge,aur fanda badhker 80 ho jayega.Dono jali ke bich mein 16-16fande honge.15 jali tak measurement 3″ honi chahiye.
Total topi ki width(गोलाई )11″-12 honi chahiye.Total length 8.5″-9″honi chahiye.
Jali ke baad 4 salai dono taraf se sidhi salai bunenge, fir 8 salai sidha aur ulta bunenge.8-10 salai ke bich design denge, is design ki video main uper de di hoon.
Design ke baad fir se 6 salai border dono taraf se sidha banega, last mein row red se banaenge.
Last mein dono taraf कान (ear) dhakne wala banaenge.topi mei piche ki taraf khula hai jise सुई se जोड़ denge.
जोड़ ki ek chhor se 26 fande uthaenge aur dono taraf se sidha bunenge.hamesha dusri salai mein dono taraf se 1-1 fanda ghata denge, tab tak ghatenge jab tak 6 fanda bach jaye. 6 fande ko 7.5 lamba ribbon bana lenge bandhne ke liye. Aisa hi dusre chor se bhi fande utha ker bana lenge.