baby socks knitting design / बच्चों के मोजे कैसे बनाएं / jurab / booties
****
Is article mein batai hoon ki bacchon ke moje kaise banayen. bacchon ke handmade ooni(ऊनी)moje bahut aaram dayak aur warm hote hain . is article mein bacchon ke moje ki design banana bhi batai hoon.
baby socks
baby socks knitting
knitting baby shoes
knitting baby socks
baby boots।
crosia se bacchon ke moje bante hain,lekin is article mein Salai se moje banana batai hoon.New born baby ki handmade woolen socks aur shoes bahut pyare lagte hai dekhne mein aur ye kafi garam aur comfortable bhi hote hai
Is article mein baby knitting woolen socks bilkul step-by-step batai hoon
, new beginners bhi aasani se banaa lenge.
छोटे बच्चों के ऊनी जूते,जुराब, शूज ,मोजे, सॉक्स बनाने की विधि बहुत सारी है। बच्चों के ऊनी मोजे बनाना बहुत आसान है और यह काफी जल्दी बनती है,और बहुत ही कंफर्टेबल होती है।
****
Border:-
Sabse pahle 42 fande lenge, dono taraf se sidhi salai bunenge.10 salai border complete kerne ke baad design dalna shuru karenge.
****
Design daalenge:-
meri article mein newborn baby socks knitting pattern ki bahut sari hai aur iske sath hi baby woolen cap woolen booties ki bhi articles hai.m
ye design 12 ke multiple mein banegi,isliye 36 Fundon per ye design dalenge, aur donon taraf 3-3 funde extra rakhenge.(36+6=42)
****Shuru ke 3 fande sidha bunenge,
do fandon ko ek sath bunenge(2 baar),*fanda aage karenge,1sidha bunenge(4 baar),do fandon ko ek sath bunenge(4 baar)isko dohraenge *se end tak,last mein 2 fandon ko ek sath bunenge(2 baar),3 sidha.
K3,K2tog (2 times),*yf,k1(4 times), k2tog (4 times)repeat from *to end to last sets k2tog (2 times),k3.
**** design ki 1st set banane ke bad next row mein puri Salai ulti bunenge.uske bad agli 2salai mein sidha aur ulta bunne ke bad 4th row mein sidhi taraf se design dalenge.
****
Ye (fan and feather stitch) jali design 5 bar bunenge.
Ie pattern ki complete article and video:-
1:-https://youtu.be/8IQlbBk9akc
2:-https://shilpygarments.blogspot.com/2019/04/easy-and-simple-jali-design-for.html
****
Design ki 5 set complete hone ke bad 10 salai sidha aur ulta bunenge.
Upar border puri lambai 4.5 inch honi chahiye.
****
Socks ka middle part:-
4.5″ ki length complete hone ke baad Dono taraf se 15-15 fandon ko utaar kar sirf bich ke 12 fandon ko sidha aur ulta ki kram mein bunenge. Total 20 salai bunenge.(2″ki length puri hone tak)
****
Aage(आगे) ke fandon ko ek sath salai per chadhaenge(चढाएंगे):-
Beech ki part ko bunne ke pahle dono taraf se 15-15 funde utaar liye the.right side ke 15 fundon ko Salai per utha lenge aur bich ke Bane hue bhag ki right side se 10 fande uthaenge aur aage 12 fande ko utha kar left side mein 10 aur 15 fandon ko utha ker Total 62 funde salai per chadha lenge.
****
In 62 fandon ko 12 salai dono taraf se sidha bunenge.(1.5″ ki length Puri tak)12 row complete hone ke bad sare fandon ko salai per se utaar lenge.
****
Moje ke niche(नीचे) ki part ko 3 salai ki madad se joint karenge:-
62 fandon ko 2 part mein barabar devide kar ke 31-31 fandon ko do salai per Chadha lenge, aur donon salai se ek ek fanda lekar 3rd Salai se donon ko ek bar bun lenge, is tarah se 1 fanda kam ho jaega . Fir se donon Salai se ek ek funday lekar 3rd Salai se ek sath bun lenge.Right hand ki Salai per2 funde Ho jaenge. Do fandon mein se pichhle wale funde ko pahle funde ke upar se a overlap kerte hue niche gira lenge. Is tarah se sare fundon ko ghatane ke bad moje ke niche wala bhag aapas mein attatch ho jaenge.
Moje ki silai(सिलाई)
Socks ke pichhle wale bhag ko upar border se niche tak sui ki madad se sil lenge. Is tarah se moje complete hain. sabse last mein uski Dori banaenge. Crosia aur Salai donon se hi dori banti hai.
****
Crosia se Dori banane ke liye ise dekhen:-
https://youtu.be/DPtIgqL_PJ4
****
Dori banaenge:-
Moje complete hone ke baad dori banaenge.dori ki puri lambai 20″ ki hogi.dori crosia aur salai dono se bana sakti hai.sirf 3 fandon ko sidha aur ulta ki kram mein bunenge. Jitni lambi dori banana ho isi kram mein bune .ek majboot dori ban ker taiyaar ho jayegi.
Watch my YouTube video for this socks tutorial:-