Size– 34
Border— sabse pahle blouse ka border banate hai.Ye 25 fande Se shuru ker ke alag se patti Ki tarah banate hai.main apne YouTube ke link ko de doongi jise dekh ker aap bana sakte hai.
Border ko do part mein bana lenge aur aap chahe to single patti bhi bana sakti hai.
Blouse ka front portion—http://www.youtube.com/c/ShilpyGarments border ke uper 65 fande utha lenge aur design dalte hue 3″ inch tak bunenge,uske baad dono taraf se sidhi Salai mein
2-2 fande ghata lenge,yani 4 fande kam honge.
5.5 inch tak ghatate Jana hai,ye tirchhe se naap lenge.uske baad 1 inch ka border bana lenge,border banate samay pahli row mein fande ko count ker lenge,WO 30-32 ke bich hona chahiye,agar jyada hai to pahli row mein hi thodi thodi door per Ghats lenge.
Blouse ka back portion–– ye bilkul front portion Ki tarah hi banega.
SLEEVE— Blouse ka half sleeve banane ke liye pichle portion se 35
Fande utha lenge(3 inch ke baad jahan se ghatana shuru Ki hoon),35 fande ko salai per dal lenge fir agle portion se bhi 35 fande utha lenge.total 105 fande ho jayenge.
Sleeve Ki total length 3.5 inch hogi.sleeve ke 105 fande ko ghataker 75 fande ker lenge.sidhi Salai mein 1-1 fanda Dono taraf se ghatate jayenge aur bich mein bhi dono taraf se jo sidhi Salai banate hai us row mein 5 fande ghata lenge equal gap mein.